Tahlil
main raat aur din ki
masafat mein
rangon ki tafsir mein
apne sare azizon ke
apne hi hathon se
qatl-e-musalsal mein masruf hun
phir main kyun sochta hun
sar-e-jam, har shab
ki dida-wari ki mata-e-firozan se
sarshaar hota
to har KHufta sar-basta tahrir se
main gale mil ke rota
sadaon ki sargoshiyon mein utarta
ajab hadsa hai ki kuchh der pahle
mere samne ek ghayal parinda
gira hai mere panw mein
samne ke fasurda o be-barg
be-rang se peD se
mere jam-e-shikasta mein
baqi the qatre mai-e-KHam ke kuchh
inhen chashm-e-minqar se ye musafir
baDe ghaur se dekhta hai
inhen gin raha hai ye shayad
main sailab-e-tahlil mein hun
yahan se kahan jaunga
dur gar ja sakta to wahan se
yahan lauT kar kis tarah
aaunga main
(1260) Peoples Rate This