Main, Ek Aur Main
mujh se achchha nahin
kuchh bura bhi nahin
Thik mujh sa bhi shayad nahin
mujh ko mahsus hota hai kuchh muKHtalif bhi nahin
wo jo ek ajnabi aaj aaya hai is shahr mein
ain-mumkin hai paida yahin wo hua ho
jawan ho gaya to kisi dusre des mein ja basa
na-rawa mausamon ke thapeDon ki yalghaar mein
kuchh fasurda o maghmum bikhra hua
lauT aaya ho ek roz apne purane isi shahr mein
ye bhi mumkin hai wo
ek dushman qabile ka koi safir-e-adawat ya dahshat ho ya phir koi
hijraton ke tasalsul ka wamanda rah-rau
ghaDi do ghaDi ke liye mere is shahr mein ruk gaya ho
wo ek be-ghari se kisi dusri be-ghari mein yahan aa gaya ho
wo mafrur qatil ho mumkin hai is shahr ko
kunj-e-mahfuz shayad samajhta ho ye sochta ho
guzar jaenge aafiyat se shab o roz baqi ke us ke yahan
main to sar-sabz-o-shadab barson jiya lahlahaya isi KHak par
jism apna tha main
zehn apna tha main
KHud se maqdur ke daere mein shanasa bhi tha
hadsa mujh pe guzra ajab ye ki main
aaj apni hi pahchan ke kaise aazar mein ghir gaya
ab yahan kaun hun
nam mera hai kya
kis ka ham-dam hun main
kis ka ham-zad hun
kaun mera hai ham-zad chaaron taraf se umaDti hui bhiD mein
baad-e-masmum mein
jism o jaan ko jhulasti hui reg-e-paikar mein ghar gaya
main mukafat ke sail-e-asrar main ghar gaya
(1578) Peoples Rate This