Ittifaq
tamam log ibtida mein
ek dusre ke samne
hujum mein dikhai dene wale kuchh nishan
mahz ajnabi
phir yaka-yak moajaza tulu ka
aur ek ru-e-aftab
baadalon ke par se nikal ke ru-ba-ru
KHiram-e-nur ku-ba-ku
purana shahr
waqt-e-sham
phailta umaDta ajnabi hujum
hao-hu ke darmiyan moajaza hua
aur ek muztarib hasin ru-e-dil-gudaz
mere jism o jaan mein dekhte hi dekhte sama gaya
wo raushni tha mauj-e-aftab tha
bas ek nazar mein jaise main ne us ko pa liya
main dam-ba-KHud sa rah gaya
ye hadsa tha waqia tha kaisa ittifaq tha
tulu-e-nur ke jilau mein
ek tawil pur-KHatar siyah raat
shahr mein utar gai
(1255) Peoples Rate This