Ek Pur-asrar Sada
us ke hansne aur rone ki sada
ho gai thi
kuchh dinon se ek si
ab wo aksar din mein sota
aur shab-bhar jagta
ghumta tha shahr ki saDkon pe tanha subh tak
ek sada
suni fazaon mein lagata
gunj sunta
phir lagata
chalta jata
be-takan
log ab sote the raaton ko na shayad jagte
ek ajab aalam tha
sunte the junhi aawaz us ki dur se
wo jo masruf-e-fughan the sochte
hai koi bad-baKHt un jaisa
kisi TeDhe safar mein
be-aman
aur jo sarshaar the mauj-e-ziya ki rah mein
wo bhi zarf-e-sar-KHushi ki dad dete the use
ek sannaTa hai ab har rah-guzar par chaar-su
jaan-ba-haq, kuchh roz guzre
ho gaya wo shaKHs
ye afwah hai
kya ajab aafat makinon ke saron par aa paDi
apne gham ki aur KHushi ki
is sada ke faiz se
mil gai thi un ko ek pahchan si
kya hua ye hadsa kaise hua
wo bhi aaKHir kho gai
(1252) Peoples Rate This