Dida-e-tar
tum mere koi nahin
aur ye nannhi si jaan
kaun hai? koi nahin
main bhi tum donon ko shayad
ajnabi lagta hun shayad kuchh nahin
ain-mumkin hai ki roz-e-hashr ke imkan se hi qabl hum
apne apne raston par
roz o shab chalte hue
reg-e-na-malum ke tufan mein
aise bichhDen
phir kabhi na mil saken
ye jo lamha baKHt mein likkha hai hum sab ke KHuda ne
qurb ka, rang-e-tamazat ka, lahu ke rang ka
kash us lamhe mein hum
band kar len apni aankhon mein hasin chehre shagufe
qahqahe, raushan sitare
lahlahate jism
mauj-e-barq shoalon ka tamawwuj
maut ke, taKHliq ke asrar sab
KHana-e-maujud un sab ke liye
ab hamare dida-e-tar ke siwa kuchh bhi nahin
rasm-e-ruKHsat bhi kabhi hogi magar
lamha-e-benam ki tahwil mein
ghar, ye sach hai, muKHtasar hai
is fana-anjam jalte muKHtasar ghar ke siwa kuchh bhi nahin
(1244) Peoples Rate This