Mere Kuchh Bhi Kahe Ko KaTta Hai
mere kuchh bhi kahe ko kaTta hai
wo apne daere ko kaTta hai
main is bazar ke qabil nahin hun
yahan khoTa khare ko kaTta hai
udas aankhen pahanti hain hansi ko
phir aansu qahqahe ko kaTta hai
na mujh ko hain qubul apni KHataen
na wo apne likhe ko kaTta hai
tawajjoh chahta hai gham purana
so rah rah kar nae ko kaTta hai
wahi aansu wahi mazi ke qisse
jise dekho kaTe ko kaTta hai
(731) Peoples Rate This