Jaan Le Le Na Zabt-e-ah Kahin
jaan le le na zabt-e-ah kahin
ro liya kije gah gah kahin
ibtidai jo ek KHadsha tha
khul na jae usi pe rah kahin
hone wali hai ye faza rangin
abr hone lage siyah kahin
ye suhulat hai zindagi ko bahut
rabt hota rahe nibah kahin
aur kuchh der gham nazar mein rakh
kya KHabar mil hi jae thah kahin
haif sar se guzar gaya pani
dhone aae the hum gunah kahin
(771) Peoples Rate This