Hamein Ras Aani Hai Rahon Ki GaThri

hamein ras aani hai rahon ki gaThri

rakho pas apni panahon ki gaThri

badal jae kash is hasin marhale par

hamari tumhaari gunahon ki gaThri

mohabbat ki rahen thin hamwar lekin

hamin Dho na pae nibahon ki gaThri

takalluf ke saman bikhre the baham

so bandhe rahe hum bhi banhon ki gaThri

ujale ke hain in dinon dam unche

chalo luT len ru-siyahon ki gaThri

dhari rah gai munsif-e-dil ke aage

bayanon ki gaThri gawahon ki gaThri

na ugli hi jae na nigale bane hai

gale mein phansi ek aahon ki gaThri

ye sukhi hui fasl-e-gham ji uThegi

agar khul gai in nigahon ki gaThri

uThengi kisi roz sailab ban kar

ye aabaadiyan hain tabahon ki gaThri

meri sidhi sadi si baaton pe mat ja

meri zat hai kaj-kulahon ki gaThri

(916) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Hamein Ras Aani Hai Rahon Ki GaThri In English By Famous Poet Bakul Dev. Hamein Ras Aani Hai Rahon Ki GaThri is written by Bakul Dev. Read famous Poem Hamein Ras Aani Hai Rahon Ki GaThri for youth and Student by Bakul Dev. Free Download Hamein Ras Aani Hai Rahon Ki GaThri in PDF.