Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_864e50222ce4e0524370e9ef3877d33c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ab UjaDne Ke Hum Na Basne Ke - Bakul Dev Poetry In English - Darsaal

Ab UjaDne Ke Hum Na Basne Ke

ab ujaDne ke hum na basne ke

kaT gae jal sare phansne ke

tajrabon mein na zahr zaea kar

sikh aadab pahle Dasne ke

us se kahiyo jo KHud mein Duba hai

tujh pe baadal nahin barasne ke

milna-julna abhi bhi hai lekin

hath se hath ab na masne ke

naqsh-e-sani hain jhilmilate sarab

naqsh-e-awwal the paon dhansne ke

aisa viran hua hai dil is bar

ab ke imkan nahin hain basne ke

ruThe bachchon se chheD karta hun

DhunDhta hun bahane hansne ke

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab UjaDne Ke Hum Na Basne Ke In English By Famous Poet Bakul Dev. Ab UjaDne Ke Hum Na Basne Ke is written by Bakul Dev. Read famous Poem Ab UjaDne Ke Hum Na Basne Ke for youth and Student by Bakul Dev. Free Download Ab UjaDne Ke Hum Na Basne Ke in PDF.