Usi Ke Zulm Se Main Haalat-e-panah Mein Tha
usi ke zulm se main haalat-e-panah mein tha
har ek nafas mera jis shaKHs ki panah mein tha
chamak raha tha wo KHurshid-e-do-jahan ki tarah
wo hath jo ki gareban-e-kaj-kulah mein tha
ufuq ufuq ko payam-e-sahr diya main ne
mera qayam agarche shab-e-siyah mein tha
mahak rahe the nazar mein gulab sapnon ke
khuli jo aankh to dekha main qatl-gah mein tha
mere harif mujhe raund kar nikal na sake
fasil-e-sang ki surat khaDa main rah mein tha
jo baat baat pe karta tha inqalab ki baat
saji salib to wo hamiyan-e-shah mein tha
adu ki fauj ne luTa to kya sitam ye hai
'rais'-e-shahr bhi shamil isi sipah mein tha
(875) Peoples Rate This