Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ff41004bbad8e2e6abd2e7161505d7d1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rut Na Badle To Bhi Afsurda Shajar Lagta Hai - Bakhsh Layalpuri Poetry In English - Darsaal

Rut Na Badle To Bhi Afsurda Shajar Lagta Hai

rut na badle to bhi afsurda shajar lagta hai

aur mausam ke taghayyur se bhi Dar lagta hai

dard-e-hijrat ke satae hue logon ko kahin

saya-e-dar bhi nazar aae to ghar lagta hai

ek sahil hi tha gardab-e-shanasa pahle

ab to har dil ke safine mein bhanwar lagta hai

bazm-e-shahi mein wahi log sar-afraaz hue

jin ke kandhon pe hamein mom ka sar lagta hai

kha liya hai to use dost ugalte kyun ho

aise peDon pe to aisa hi samar lagta hai

ajnabiyat ka wo aalam hai ki har aan yahan

apna ghar bhi hamein aghyar ka ghar lagta hai

shab ki sazish ne ujalon ka gala ghunT diya

zulmat-abaad sa ab nur-e-sahar lagta hai

manzil-e-saKHt se hum yun to nikal aae hain

aur jo baqi hai qayamat ka safar lagta hai

ghar bhi virana lage taza hawaon ke baghair

baad-e-KHush-rang chale dasht bhi ghar lagta hai

(750) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rut Na Badle To Bhi Afsurda Shajar Lagta Hai In English By Famous Poet Bakhsh Layalpuri. Rut Na Badle To Bhi Afsurda Shajar Lagta Hai is written by Bakhsh Layalpuri. Read famous Poem Rut Na Badle To Bhi Afsurda Shajar Lagta Hai for youth and Student by Bakhsh Layalpuri. Free Download Rut Na Badle To Bhi Afsurda Shajar Lagta Hai in PDF.