RuKH-e-hayat Hai Sharminda-e-jamal Bahut
ruKH-e-hayat hai sharminda-e-jamal bahut
jami hui hai abhi gard-e-mah-o-sal bahut
gurez-pa hai jo mujh se tera visal to kya
mera junun bhi hai aamada-e-zawal bahut
mujhe har aan ye deta hai wasl ki lazzat
wafa-shanas hai tujh se tera KHayal bahut
kitab-e-zist ke har ek waraq pe raushan hain
teri fasurda-nigahi ke KHadd-o-KHal bahut
palaT gae jo parinde to phir gila kya hai
har ek shaKH-e-shajar par bichhe hain jal bahut
tumhein hai naz agar apne husn-e-sarkash par
tu mera ishq bhi hai ru-kash-e-jamal bahut
azan-e-subh ki har lai ke tar TuT gae
farogh-e-zulmat-e-shab ka ye hai kamal bahut
kisi bhi pyas ke mare ki pyas bujh na saki
samundaron mein to aate rahe uchhaal bahut
(1194) Peoples Rate This