Mere Har Lafz Ki Tauqir Rahne Ke Liye Hai
mere har lafz ki tauqir rahne ke liye hai
main zinda hun meri tahrir rahne ke liye hai
sitam-gar ne jo pahnai mere dast-e-talab mein
ye mat samjho ki wo zanjir rahne ke liye hai
mera aaina-e-tasnif deta hai gawahi
mera har nuqta-e-tafsir rahne ke liye hai
rahega tu na tera zulm par roz-e-abad tak
hamare dard ki jagir rahne ke liye hai
jise meri nigahon ne kabhi dekha nahin hai
mere dil mein wahi taswir rahne ke liye hai
sar-e-baatil kiya do laKHt jis ne bhi jahan mein
salamat bas wahi shamshir rahne ke liye hai
junun-e-shauq-e-taKHrib-e-jahan miT kar rahega
magar har jazba-e-tamir rahne ke liye hai
na likha sher koi aur samajh baiThe hain nadan
adab mein harba-e-tashhir rahne ke liye hai
guzar jaenge hum dar-e-fana se 'baKHsh' lekin
hamare sher ki tasir rahne ke liye hai
(877) Peoples Rate This