Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe BiThae Rakhna

kabhi aankhon pe kabhi sar pe biThae rakhna

zindagi talKH sahi dil se lagae rakhna

lafz to lafz hain kaghaz se bhi KHushbu phuTe

safha-e-waqt pe wo phul khilae rakhna

chand kya chiz hai suraj bhi ubhar aaega

zulmat-e-shab mein lahu dil ka jalae rakhna

hurmat-e-harf pe ilzam na aane pae

suKHan-e-haq ko sar-e-dar sajae rakhna

farsh to farsh falak par bhi sunai dega

meri aawaz mein aawaz milae rakhna

kabhi wo yaad bhi aae to malamat karna

kabhi us shoKH ki taswir banae rakhna

'baKHsh' sikha hai shahidan-e-wafa se hum ne

hath kaT jaen alam munh se uThae rakhna

(1032) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe BiThae Rakhna In English By Famous Poet Bakhsh Layalpuri. Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe BiThae Rakhna is written by Bakhsh Layalpuri. Read famous Poem Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe BiThae Rakhna for youth and Student by Bakhsh Layalpuri. Free Download Kabhi Aankhon Pe Kabhi Sar Pe BiThae Rakhna in PDF.