Husul-e-manzil-e-jaan Ka Hunar Nahin Aaya
husul-e-manzil-e-jaan ka hunar nahin aaya
wo raushni thi ki kuchh bhi nazar nahin aaya
bhaTak rahe hain abhi zist ke sarabon mein
musafiron ko shuur-e-safar nahin aaya
tamam raat sitara-shanas rote rahe
nazar ganwa di sitara nazar nahin aaya
hazar minnaten kin waste KHuda ke diye
pe rah-e-rast pe wo rahbar nahin aaya
zaban-e-sher pe mohr-e-sukut hai ab tak
jalal-e-saut-o-suKHan rang par nahin aaya
wo tak rahe hain azal se faraaz-e-gardun par
nazar kisi ko bhi najm-e-sahar nahin aaya
hamare shahr ke har sang-baz se ye kaho
hamari shaKH-e-shajar par samar nahin aaya
har ek moD pe hum ne bahut sadaen din
safar tamam hua ham-safar nahin aaya
dayar-e-ghair mein mera wo sar-phira beTa
gaya hai ghar se to phir lauT kar nahin aaya
(2098) Peoples Rate This