Dida-e-be-rang Mein KHun-rang Manzar Rakh Diye
dida-e-be-rang mein KHun-rang manzar rakh diye
hum ne is dasht-e-tapan mein bhi samundar rakh diye
wo jagah jo lal-o-gauhar ke liye maqsud thi
kis ne ye sang-e-malamat us jagah par rakh diye
ab kisi ki chiKH kya ubhre ki mir-e-shahr ne
sakinan-e-shahr ke sinon pe patthar rakh diye
shaKH-saron par na jab izn-e-nasheman mil saka
hum ne is apne aashiyan dosh-e-hawa par rakh diye
ahl-e-zar ne dekh kar kam-zarfi-e-ahl-e-qalam
hirs-e-zar ke har taraazu mein suKHan-war rakh diye
hum to abresham ki surat narm-o-nazuk the magar
talKHi-e-haalat ne lahje mein KHanjar rakh diye
jis hawa ko wo samajhte the ki chal sakti nahin
us hawa ne kaT kar lashkar ke lashkar rakh diye
'baKHsh' sayyaad-e-azal ne hukm aazadi ke sath
aur asiri ke bhi KHadshe dil ke andar rakh diye
(792) Peoples Rate This