Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ea49b4b700e042a5f6f91e3292ff6c8c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rakha Sar Par Jo Aaya Yar Ka KHat - Bahram Ji Poetry In English - Darsaal

Rakha Sar Par Jo Aaya Yar Ka KHat

rakha sar par jo aaya yar ka KHat

gaya sab dard-e-sar kiya tha dawa KHat

diya KHat aur hun qasid ke pichhe

hua tasir mein kya kahruba KHat

wahin qasid ke munh par phenk mara

diya qasid ne jab ja kar mera KHat

hai lazim haal KHairiyyat ka likhna

kabhi to bhej o na-ashna KHat

raha mamnun kaghaz-saz ka main

suna dega use sab majra KHat

pata milta nahin us be-nishan ka

liye phirta hai qasid ja-ba-ja KHat

rahi hasrat ye sari umr 'bahram'

na mujh ko yar ne hargiz likha KHat

(1421) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rakha Sar Par Jo Aaya Yar Ka KHat In English By Famous Poet Bahram Ji. Rakha Sar Par Jo Aaya Yar Ka KHat is written by Bahram Ji. Read famous Poem Rakha Sar Par Jo Aaya Yar Ka KHat for youth and Student by Bahram Ji. Free Download Rakha Sar Par Jo Aaya Yar Ka KHat in PDF.