Hum Na But-KHane Mein Ne Masjid-e-viran Mein Rahe
hum na but-KHane mein ne masjid-e-viran mein rahe
hasrat-o-arzu-e-jalwa-e-jaanan mein rahe
KHun hai wo jis se ki ho daman-e-qatil rangin
KHun fasid hai jo KHali sar-e-mizhgan mein rahe
hum ne masnua se sane ki haqiqat pai
be-sabab hum nahin nazzara-e-KHuban mein rahe
subh KHurshid ko dekha hawas-e-ariz mein
sham se raushni-e-sham-e-shabistan mein rahe
toDa zunnar ko tasbih ko phenka hum ne
ishq-e-ruKH tha hawas-e-nur-e-daraKHshan mein rahe
ja-ba-ja hum ko rahi jalwa-e-jaanan ki talash
dair-o-kaba mein phire sohbat-e-rahban mein rahe
KHalwat-e-dil ki na kuchh qadr ko samjhe haji
tauf-e-kaba ke liye dasht-o-bayaban mein rahe
un asiron ko hui qaid-e-tayyun se najat
jo ki paband tere gesu-e-pechan mein rahe
is zamin mein ghazal ek aur bhi likkho 'bahram'
ye do-ghazla to bhala aap ke diwan mein rahe
(1019) Peoples Rate This