Ghamgin Nahin Hun Dahr Mein To Shad Bhi Nahin
ghamgin nahin hun dahr mein to shad bhi nahin
aabaad agar nahin hun to barbaad bhi nahin
milti teri wafa ki mujhe dad bhi nahin
majnun nahin hai dahr mein farhad bhi nahin
kahta hai yar jurm ki pate ho tum saza
insaf agar nahin hai to be-dad bhi nahin
insan ki qadr kya hai jo ho tere ru-ba-ru
tere muqable mein pari-zad bhi nahin
afsos kis se yar ki khinchwaiye shabih
'mani' nahin jahan mein hai 'bahzad' bhi nahin
karta hai uzr-e-jaur-o-jafa yar tu abas
hona jo tha hua wo hamein yaad bhi nahin
kushta hua hun abru-e-KHamdar-e-yar ka
mere liye zarurat-e-jallad bhi nahin
hasrat bhare hue gae duniya se saikaDon
tasdiq kis se kijiye shaddad bhi nahin
'bahram' mere zor-e-tabiat se hai suKHan
shagird main nahin hun to ustad bhi nahin
(882) Peoples Rate This