Bahs Kyun Hai Kafir-o-din-dar Ki
bahs kyun hai kafir-o-din-dar ki
sab hai qudrat dawar-e-dawwar ki
hum saf-e-qalu-bala mein kya na the
kuchh nai KHwahish nahin didar ki
DhunDh kar dil mein nikala tujh ko yar
tu ne ab mehnat meri be-kar ki
shakl-e-gul mein jalwa karte ho kabhi
gah surat bulbul-e-gulzar ki
aap aate ho kabhi subha-ba-kaf
karte ho KHwahish kabhi zunnar ki
lan-tarani aap ki musa se thi
har jagah hajat nahin inkar ki
KHas hain maqtul-e-shamshir-e-jafa
kuchh to lazzat hai teri talwar ki
dair-o-kaba mein kalisa mein phire
har jagah hum ne talash-e-yar ki
sab ki hai taqdir tere hath mein
kya shikayat muslim o kuffar ki
hum mein jauhar the ibaadat KHas ke
kar diya insan ye miTTi KHwar ki
mahr-o-mah ko umr bhar dekha kiye
thi tamanna ru-e-pur-anwar ki
aur ai 'bahram' ek likkho ghazal
aap ko qillat nahin ashaar ki
(867) Peoples Rate This