Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_332737c37668841497ae9102ff17c7c6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wan Irada Aaj Us Qatil Ke Dil Mein Aur Hai - Bahadur Shah Zafar Poetry In English - Darsaal

Wan Irada Aaj Us Qatil Ke Dil Mein Aur Hai

wan irada aaj us qatil ke dil mein aur hai

aur yahan kuchh aarzu bismil ke dil mein aur hai

wasl ki Thahrawe zalim to kisi surat se aaj

warna Thahri kuchh tere mail ke dil mein aur hai

hai hilal o badr mein ek nur par jo raushni

dil mein naqis ke hai wo kaamil ke dil mein aur hai

pahle to milta hai dildari se kya kya dilruba

bandhta mansube phir wo mil ke dil mein aur hai

hai mujhe baad-az-sawal-e-bosa KHwahish wasl ki

ye tamanna ek is sail ke dil mein aur hai

go wo mahfil mein na bola pa gae chitwan se hum

aaj kuchh us raunaq-e-mahfil ke dil mein aur hai

yun to hai wo hi dil-e-alam ke dil mein ai 'zafar'

us ka aalam mard-e-sahab dil ke dil mein aur hai

(838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wan Irada Aaj Us Qatil Ke Dil Mein Aur Hai In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Wan Irada Aaj Us Qatil Ke Dil Mein Aur Hai is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Wan Irada Aaj Us Qatil Ke Dil Mein Aur Hai for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Wan Irada Aaj Us Qatil Ke Dil Mein Aur Hai in PDF.