TukDe Nahin Hain Aansuon Mein Dil Ke Chaar Panch
TukDe nahin hain aansuon mein dil ke chaar panch
surKHab baiThe pani mein hain mil ke chaar panch
munh khole hain ye zaKHm jo bismil ke chaar panch
phir lenge bose KHanjar-e-qatil ke chaar panch
kahne hain matlab un se hamein dil ke chaar panch
kya kahiye ek munh hain wahan mil ke chaar panch
dariya mein gir paDa jo mera ashk ek garm
but-KHane lab pe ho gae sahil ke chaar panch
do-chaar lashe ab bhi paDe tere dar pe hain
aur aage dab chuke hain tale gil ke chaar panch
rahen hain do majaz o haqiqat hai jin ka nam
raste nahin hain ishq ki manzil ke chaar panch
ranj o tab musibat o gham yas o dard o dagh
aah o fughan rafiq hain ye dil ke chaar panch
do tin jhaTke dun jun hi wahshat ke zor mein
zindan mein TukDe howen salasil ke chaar panch
farhad o qais o wamiq o azra the chaar dost
ab hum bhi aa mile to hue mil ke chaar panch
naz o ada o ghamza nigah panja-e-mizha
maren hain ek dil ko ye pil pil ke chaar panch
ima hai ye ki dewenge nau din ke baad dil
likh bheje KHat mein sher jo be-dil ke chaar panch
hire ke nau-ratan nahin tere hue hain jama
ye chandni ke phul magar khil ke chaar panch
mina-e-nuh-falak hai kahan baada-e-nashat
shishe hain ye to zahr-e-halahal ke chaar panch
naKHun karen hain zaKHmon ko do do mila ke ek
the aaTh das so ho gae ab chhil ke chaar panch
gar anjum-e-falak se bhi tadad kijiye
niklen ziyaada dagh mere dil ke chaar panch
maren jo sar pe sil ko uTha kar qalaq se hum
das panch TukDe sar ke hon aur sil ke chaar panch
man ai 'zafar' tu panj-tan o chaar-yar ko
hain sadar-e-din ki yahi mahfil ke chaar panch
(1314) Peoples Rate This