Tufta-jaanon Ka Ilaj Ai Ahl-e-danish Aur Hai
tufta-jaanon ka ilaj ai ahl-e-danish aur hai
ishq ki aatish bala hai us ki sozish aur hai
kyun na wahshat mein chubhe har mu ba-shakl-e-nish-tez
KHar-e-gham ki tere diwane ki kawish aur hai
mutribo ba-saz aao tum hamari bazm mein
saz-o-saman se tumhaari itni sazish aur hai
thukta bhi duKHtar-e-raz par nahin mast-e-alast
jo ki hai us fahisha par ghash wo fahish aur hai
tab kya ham-tab howe us se KHurshid-e-falak
aaftab-e-dagh-e-dil ki apne tabish aur hai
sab miTa den dil se hain jitni ki us mein KHwahishen
gar hamein malum ho kuchh us ki KHwahish aur hai
abr mat ham-chashm hona chashm-e-dariya-bar se
teri barish aur hai aur us ki barish aur hai
hai to gardish charKH ki bhi fitna-angezi mein taq
teri chashm-e-fitna-za ki lek gardish aur hai
but-parasti jis se howe haq-parasti ai 'zafar'
kya kahun tujh se ki wo tarz-e-parastish aur hai
(1015) Peoples Rate This