Shamshir-e-barhana Mang Ghazab Baalon Ki Mahak Phir Waisi Hi
shamshir-e-barhana mang ghazab baalon ki mahak phir waisi hi
juDe ki gundhawaT qahr-e-KHuda baalon ki mahak phir waisi hi
aankhen hain kaTora si wo sitam gardan hai surahi-dar ghazab
aur usi mein sharab-e-surKHi-e-pan rakhti hai jhalak phir waisi hi
har baat mein us ki garmi hai har naz mein us ke shoKHi hai
qamat hai qayamat chaal pari chalne mein phaDak phir waisi hi
gar rang bhabuka aatish hai aur bini shola-e-sarkash hai
to bijli si kaunde hai pari aariz ki chamak phir waisi hi
nau-KHez kuchen do ghuncha hain hai narm shikam ek KHirman-e-gul
barik kamar jo shaKH-e-gul rakhti hai lachak phir waisi hi
hai naf koi girdab-e-bala aur gol surin ranen hain safa
hai saq bilorin sham-e-ziya panw ki kafak phir waisi hi
mahram hai habab-e-ab-e-rawan suraj ki kiran hai us pe lipaT
jali ki kurti hai wo bala goTe ki dhanak phir waisi hi
wo gae to aafat lae hai har tal mein lewe jaan nikal
nach us ka uThae sau fitne ghungru ki jhanak phir waisi hi
har baat pe hum se wo jo 'zafar' karta hai lagawaT muddat se
aur us ki chahat rakhte hain hum aaj talak phir waisi hi
(1259) Peoples Rate This