Qarun UTha Ke Sar Pe Suna Ganj Le Chala
qarun uTha ke sar pe suna ganj le chala
duniya se kya baKHil ba-juz ranj le chala
minnat thi bosa-e-lab-e-shirin ki dil mera
mujh ko su-e-mazar-e-shakar ganj le chala
saqi sambhaalta hai to jaldi mujhe sambhaal
warna uDa ke pan nasha-e-banj le chala
dauDa ke hath chhati pe hum un ki yun phire
jaise koi chor aa ke ho naranj le chala
chausar ka lutf ye hai ki jis waqt po paDe
hum bar-chahaar bole to bar-panj le chala
jis dam 'zafar' ne paDh ke ghazal hath se rakhi
aankhon pe rakh har ek suKHan-sanj le chala
(785) Peoples Rate This