Pan Ki SurKHi Nahin Lab Par But-e-KHun-KHwar Ke
pan ki surKHi nahin lab par but-e-KHun-KHwar ke
lag gaya hai KHun-e-ashiq munh ko is talwar ke
KHal-e-ariz dekh lo halqe mein zulf-e-yar ke
mar-e-mohra gar na dekha ho dahan mein mar ke
anjum-e-taban falak par jaanti hai jis ko KHalq
kuchh sharare hain wo meri aah-e-atish-bar ke
tuba-e-jannat se us ko kaam kya hai hur-wash
jo ki hain aasuda sae mein teri diwar ke
puchhte ho haal kya mera qimar-e-ishq mein
jhaD baiTha hath main naqd-e-dil-o-din haar ke
ye hui tasir ishq-e-koh-kan se sang-e-ab
ashk jari ab talak chashmon se hain kohsar ke
hai wo be-wahdat ki jo samjhe hai kufr o din mein farq
rakhti hai tasbih rishta tar se zunnar ke
wada-e-didar jo Thahra qayamat par to yan
roz hoti hai qayamat shauq mein didar ke
hoshiyari hai yahi kije 'zafar' is se hazar
dekhiye jis ko nashe mein baada-e-pindar ke
(905) Peoples Rate This