Pan Kha Kar Surma Ki Tahrir Phir Khinchi To Kya
pan kha kar surma ki tahrir phir khinchi to kya
jab mera KHun ho chuka shamshir phir khinchi to kya
ai muhawwis jab ki zar tere nasibon mein nahin
tu ne mehnat bhi pai-e-iksir phir khinchi to kya
gar khinche sine se nawak ruh tu qalib se khinch
ai ajal jab khinch gaya wo tir phir khinchi to kya
khinchta tha panw mera pahle hi zanjir se
ai junun tu ne meri zanjir phir khinchi to kya
dar hi par us ne khincha jab sar-e-bazar-e-ishq
lash bhi meri pai-e-tashhir phir khinchi to kya
khinch ab nala koi aisa ki ho us ko asar
tu ne ai dil aah-e-pur-tasir phir khinchi to kya
chahiye us ka tasawwur hi se naqsha khinchna
dekh kar taswir ko taswir phir khinchi to kya
khinch le awwal hi se dil ki inan-e-iKHtiyar
tu ne gar ai aashiq-e-dil-gir phir khinchi to kya
kya hua aage uThae gar 'zafar' ehsan-e-aql
aur agar ab minnat-e-tadbir phir khinchi to kya
(882) Peoples Rate This