Nibah Baat Ka Us Hila-gar Se Kuchh Na Hua
nibah baat ka us hila-gar se kuchh na hua
idhar se kya na hua par udhar se kuchh na hua
jawab-e-saf to lata agar na lata KHat
likha nasib ka jo nama-bar se kuchh na hua
hamesha fitne hi barpa kiye mere sar par
hua ye aur to us fitnagar se kuchh na hua
bala se girya-e-shab tu hi kuchh asar karta
agarche ishq mein aah-e-sahar se kuchh na hua
jala jala ke kiya shama san tamam mujhe
bas aur to mujhe soz-e-jigar se kuchh na hua
rahin adu se wahi garm-joshiyan us ki
is aah-e-sard aur is chashm-e-tar se kuchh na hua
uThaya ishq mein kya kya na dard-e-sar main ne
husul par mujhe us dard-e-sar se kuchh na hua
shab-e-visal mein bhi meri jaan ko aaram
azizo dard-e-judai ke Dar se kuchh na hua
na dunga dil use main ye hamesha kahta tha
wo aaj le hi gaya aur 'zafar' se kuchh na hua
(935) Peoples Rate This