Nahin Ishq Mein Is Ka To Ranj Hamein Ki Qarar O Shakeb Zara Na Raha
nahin ishq mein is ka to ranj hamein ki qarar o shakeb zara na raha
gham-e-ishq to apna rafiq raha koi aur bala se raha na raha
diya apni KHudi ko jo hum ne uTha wo jo parda sa bich mein tha na raha
rahe parde mein ab na wo parda-nashin koi dusra us ke siwa na raha
na thi haal ki jab hamein apne KHabar rahe dekhte auron ke aib o hunar
paDi apni buraiyon par jo nazar to nigah mein koi bura na raha
tere ruKH ke KHayal mein kaun se din uThe mujh pe na fitna-e-roz-e-jaza
teri zulf ke dhyan mein kaun si shab mere sar pe hujum-e-bala na raha
hamein saghar-e-baada ke dene mein ab kare der jo saqi to hae ghazab
ki ye ahd-e-nashat ye daur-e-tarab na rahega jahan mein sada na raha
kai roz mein aaj wo mehr-liqa hua mere jo samne jalwa-numa
mujhe sabr o qarar zara na raha use pas-e-hijab-o-haya na raha
tere KHanjar o tegh ki aab-e-rawan hui jab ki sabil-e-sitam-zadgan
gae kitne hi qafile KHushk-zaban koi tishna-e-ab-e-baqa na raha
mujhe saf batae nigar agar to ye puchhun main ro ro ke KHun-e-jigar
male panw se kis ke hain dida-e-tar kaf-e-pa pe jo rang-e-hina na raha
use chaha tha main ne ki rok rakhun meri jaan bhi jae to jaane na dun
kiye lakh fareb karoD fusun na raha na raha na raha na raha
lage yun to hazaron hi tir-e-sitam ki taDapte rahe paDe KHak pe hum
wale naz o karishma ki tegh-e-do-dam lagi aisi ki tasma laga na raha
'zafar' aadmi us ko na jaaniyega wo ho kaisa hi sahab-e-fahm-o-zaka
jise aish mein yaad-e-KHuda na rahi jise taish mein KHauf-e-KHuda na raha
(3409) Peoples Rate This