Na Us Ka Bhed Yari Se Na Ayyari Se Hath Aaya
na us ka bhed yari se na ayyari se hath aaya
KHuda aagah hai dil ki KHabardari se hath aaya
na hon jin ke Thikane hosh wo manzil ko kya pahunche
ki rasta hath aaya jis ki hushyari se hath aaya
hua haq mein hamare kyun sitamgar aasman itna
koi puchhe ki zalim kya sitamgari se hath aaya
agarche mal-e-duniya hath bhi aaya harison ke
to dekha hum ne kis kis zillat-o-KHwari se hath aaya
na kar zalim dil-azari jo ye dil manzur hai lena
kisi ka dil jo hath aaya to dildari se hath aaya
agarche KHaksari kimiya ka sahl nusKHa hai
wa-lekin hath aaya jis ke dushwari se hath aaya
hui hargiz na tere chashm ke bimar ko sehhat
na jab tak zahr tere KHatt-e-zangari se hath aaya
koi ye wahshi-e-ram-dida tere hath aaya tha
par ai sayyaad-wash dil ki giraftari se hath aaya
'zafar' jo do jahan mein gauhar-e-maqsud tha apna
janab-e-faKHr-e-din ki wo madad-gari se hath aaya
(1018) Peoples Rate This