Na Durweshon Ka KHirqa Chahiye Na Taj-e-shahana
na durweshon ka KHirqa chahiye na taj-e-shahana
mujhe to hosh de itna rahun main tujh pe diwana
kitabon mein dhara hai kya bahut likh likh ke dho Dalin
hamare dil pe naqsh-e-kal-hajr hai tera farmana
ghanimat jaan jo dam guzre kaifiyat se gulshan mein
diye ja saqi-e-paiman-shikan bhar bhar ke paimana
na dekha wo kahin jalwa jo dekha KHana-e-dil mein
bahut masjid mein sar mara bahut sa DhunDa but-KHana
kuchh aisa ho ki jis se manzil-e-maqsud ko pahunchun
tariq-e-parsai howe ya ho rah-e-rindana
ye sari aamad-o-shud hai nafas ki aamad-o-shud par
isi tak aana jaana hai na phir jaana na phir aana
'zafar' wo zahid-e-bedard ki hu-haq se behtar hai
kare gar rind dard-e-dil se ha-o-hu-e-mastana
(854) Peoples Rate This