Na Daim Gham Hai Ne Ishrat Kabhi Yun Hai Kabhi Wun Hai
na daim gham hai ne ishrat kabhi yun hai kabhi wun hai
tabaddul yan hai har saat kabhi yun hai kabhi wun hai
gareban-chaak hun gahe uData KHak hun gahe
liye phirti mujhe wahshat kabhi yun hai kabhi wun hai
abhi hain wo mere hamdam abhi ho jaenge dushman
nahin ek waza par sohbat kabhi yun hai kabhi wun hai
jo shakl-e-shisha giryan hun to misl-e-jam KHandan hun
yahi hai yan ki kaifiyyat kabhi yun hai kabhi wun hai
kisi waqt ashk hain jari kisi waqt aah aur zari
gharaz haal-e-gham-e-furqat kabhi yun hai kabhi wun hai
koi din hai bahaar-e-gul phir aaKHir hai KHizan bilkul
chaman hai manzil-e-ibrat kabhi yun hai kabhi wun hai
'zafar' ek baat par daim wo howe kis tarah qaim
jo apni pherta niyat kabhi yun hai kabhi wun hai
(843) Peoples Rate This