Mar Gae Ai Wah Unki Naz-bardari Mein Hum
mar gae ai wah un ki naz-bardari mein hum
dil ke hathon se paDe kaisi giraftari mein hum
sab pe raushan hai hamari sozish-e-dil bazm mein
shama san jalte hain apni garm-bazari mein hum
yaad mein hai tere dam ki aamad-o-shud pur-KHayal
be-KHabar sab se hain is dam ki KHabardari mein hum
jab hansaya gardish-e-gardun ne hum ko shakl-e-gul
misl-e-shabnam hain hamesha girya o zari mein hum
chashm o dil bina hai apne roz o shab ai marduman
garche sote hain ba-zahir par hain bedari mein hum
dosh par raKHt-e-safar bandhe hai kya ghuncha saba
dekhte hain sab ko yan jaise ki tayyari mein hum
kab talak be-did se ya rab rakhen chashm-e-wafa
lag rahe hain aaj kal to dil ki gham-KHwari mein hum
dekh kar aaina kya kahta hai yaro ab wo shoKH
mah se sad chand behtar hain ada-dari mein hum
ai 'zafar' likh tu ghazal bahr o qawafi pher kar
KHama-e-dur-rez se hain ab guhar-bari mein hum
(880) Peoples Rate This