Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0daa0fe667bcf08934b461a6e806b215, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Lagta Nahin Hai Dil Mera UjDe Dayar Mein - Bahadur Shah Zafar Poetry In English - Darsaal

Lagta Nahin Hai Dil Mera UjDe Dayar Mein

lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein

kis ki bani hai aalam-e-na-paedar mein

kah do in hasraton se kahin aur ja basen

itni jagah kahan hai dil-e-dagh-dar mein

kanTon ko mat nikal chaman se o baghban

ye bhi gulon ke sath pale hain bahaar mein

bulbul ko baghban se na sayyaad se gila

qismat mein qaid likkhi thi fasl-e-bahaar mein

kitna hai bad-nasib 'zafar' dafn ke liye

do gaz zamin bhi na mili ku-e-yar mein

(3046) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lagta Nahin Hai Dil Mera UjDe Dayar Mein In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Lagta Nahin Hai Dil Mera UjDe Dayar Mein is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Lagta Nahin Hai Dil Mera UjDe Dayar Mein for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Lagta Nahin Hai Dil Mera UjDe Dayar Mein in PDF.