Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f2fd829c6c6c76a65354becc34a61dea, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kya Kuchh Na Kiya Aur Hain Kya Kuchh Nahin Karte - Bahadur Shah Zafar Poetry In English - Darsaal

Kya Kuchh Na Kiya Aur Hain Kya Kuchh Nahin Karte

kya kuchh na kiya aur hain kya kuchh nahin karte

kuchh karte hain aisa ba-KHuda kuchh nahin karte

apne maraz-e-gham ka hakim aur koi hai

hum aur tabibon ki dawa kuchh nahin karte

malum nahin hum se hijab un ko hai kaisa

auron se to wo sharm o haya kuchh nahin karte

go karte hain zahir ko safa ahl-e-kudurat

par dil ko nahin karte safa kuchh nahin karte

wo dilbari ab tak meri kuchh karte hain lekin

tasir tere nale dila kuchh nahin karte

dil hum ne diya tha tujhe ummid-e-wafa par

tum hum se nahin karte wafa kuchh nahin karte

karte hain wo is tarah 'zafar' dil pe jafaen

zahir mein ye jaano ki jafa kuchh nahin karte

(1088) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Kuchh Na Kiya Aur Hain Kya Kuchh Nahin Karte In English By Famous Poet Bahadur Shah Zafar. Kya Kuchh Na Kiya Aur Hain Kya Kuchh Nahin Karte is written by Bahadur Shah Zafar. Read famous Poem Kya Kuchh Na Kiya Aur Hain Kya Kuchh Nahin Karte for youth and Student by Bahadur Shah Zafar. Free Download Kya Kuchh Na Kiya Aur Hain Kya Kuchh Nahin Karte in PDF.