Karenge Qasd Hum Jis Dam Tumhaare Ghar Mein Aawenge
karenge qasd hum jis dam tumhaare ghar mein aawenge
jo hogi umr bhar ki rah to dam bhar mein aawenge
agar hathon se us shirin-ada ke zabh honge hum
to sharbat ke se ghunT aab-e-dam-e-KHanjar mein aawenge
yahi gar josh-e-girya hai to bah kar sath ashkon ke
hazaron para-e-dil mere chashm-e-tar mein aawenge
gar is qaid-e-bala se ab ki chhuTenge to phir hargiz
na hum dam-e-fareb-e-shoKH-e-ghaarat-gar mein aawenge
na jate garche mar jate jo hum malum kar jate
ki itna tang ja kar kucha-e-dilbar mein aawenge
gareban-chaak lakhon hath se us mehr-e-talat ke
ba-rang-e-subh-e-mahshar arsa-e-mahshar mein aawenge
jo sargardani apni tere diwane dikhaenge
to phir kya kya bagule dasht ke chakkar mein aawenge
'zafar' apna karishma gar dikhaya chashm-e-saqi ne
tamashe jam-e-jam ke sab nazar saghar mein aawenge
(874) Peoples Rate This