Jab Ki Pahlu Mein Hamare But-e-KHud-kaam Na Ho
jab ki pahlu mein hamare but-e-KHud-kaam na ho
girye se sham-o-sahar kyun ki hamein kaam na ho
le gaya dil ka jo aaram hamare ya rab
us dil-aram ko mutlaq kabhi aaram na ho
jis ko samjhe lab-e-pan-KHurda wo malida-misi
marduman dekhiyo phuli wo kahin sham na ho
aaj tashrif gulistan mein wo mai-kash laya
kaf-e-nargis pe dhara kyunki bhala jam na ho
kar mujhe qatl wahan ab ki na ho koi jahan
ta meri jaan tu kahin KHalq mein badnam na ho
dekh kar kholiyo tu kakul-e-pechan ki girah
ki mera tair-e-dil us ke tah-e-dam na ho
bin tere ai but-e-KHud-kaam ye dil ko hai KHatar
tere aashiq ka tamam aah kahin kaam na ho
aaj har ek jo yaro nazar aata hai niDhaal
apni abru ki wo khinche hue samsam na ho
hai mere shoKH ki baalida wo kafir aankhen
jis ke hum chashm zara nargis-e-baadam na ho
subh hoti hi nahin aur nahin kaTti raat
ruKH pe khole wo kahin zulf-e-siyah-fam na ho
ai 'zafar' charKH pe KHurshid jo yun kanpe hai
jalwa-gar aaj kahin yar lab-e-baam na ho
(788) Peoples Rate This