Jab Kabhi Dariya Mein Hote Saya-afgan Aap Hain
jab kabhi dariya mein hote saya-afgan aap hain
fils-e-mahi ko batate mah-e-raushan aap hain
site hain sozan se chaak-e-sina kya ai chaarasaz
KHar-e-gham sine mein apne misl-e-sozan aap hain
pyar se kar ke hamail ghair ki gardan mein hath
marte tegh-e-sitam se mujh ko gardan aap hain
khinch kar aankhon mein apni surma-e-dumbaala-dar
karte paida sehr se nargis mein sosan aap hain
dekh kar sahra mein mujh ko pahle ghabraya tha qais
phir jo pahchana to bola hazrat-e-man aap hain
ji dhaDakta hai kahin tar-e-rag-e-gul chubh na jae
sej par phulon ki karte qasd-e-KHuftan aap hain
kya maza hai tegh-e-qatil mein ki aksar said-e-ishq
aan kar us par ragaDte apni gardan aap hain
mujh se tum kya puchhte ho kaise hain hum kya kahen
ji hi jaane hai ki jaise mushfiq-e-man aap hain
pur-ghurur o pur-takabbur pur-jafa o pur-sitam
pur-fareb o pur-dagha pur-makr o pur-fan aap hain
zulm-pesha zulm-shewa zulm-ran o zulm-dost
dushman-e-dil dushman-e-jaan dushman-e-tan aap hain
yakka-taz o neza-baz o arbada-ju tund-KHu
teghzan dashna-guzar o nawak-afgan aap hain
tasma-kash taraaz o ghaarat-gar taraj-saz
kafir yaghmai o qazzaq rahzan aap hain
fitna-ju bedad-gar saffak o azlam kina-war
garm-jang o garm-qatl o garm-kushtan aap hain
bad-mizaj o bad-dimagh wa bad-shiar o bad-suluk
bad-tariq o bad-zaban bad-ahd o bad-zan aap hain
be-murawwat bewafa na-mehrban na-ashna
mere qatil mere hasid mere dushman aap hain
ai 'zafar' kya pa-e-qatil ke hai bose ki hawas
yun jo bismil ho ke sargarm-e-tapidan aap hain
(1051) Peoples Rate This