Itna Na Apne Jame Se Bahar Nikal Ke Chal
itna na apne jame se bahar nikal ke chal
duniya hai chal-chalaw ka rasta sambhal ke chal
kam-zarf pur-ghurur zara apna zarf dekh
manind josh-e-gham na ziyaada ubal ke chal
fursat hai ek sada ki yahan soz-e-dil ke sath
us par sapand-war na itna uchhal ke chal
ye ghol-wash hain in ko samajh tu na rahnuma
sae se bach ke ahl-e-fareb-o-daghal ke chal
auron ke bal pe bal na kar itna na chal nikal
bal hai to bal ke bal pe tu kuchh apne bal ke chal
insan ko kal ka putla banaya hai us ne aap
aur aap hi wo kahta hai putle ko kal ke chal
phir aankhen bhi to din hain ki rakh dekh kar qadam
kahta hai kaun tujh ko na chal chal sambhal ke chal
hai turfa amn-gah nihan-KHana-e-adam
aankhon ke ru-ba-ru se tu logon ke Tal ke chal
kya chal sakega hum se ki pahchante hain hum
tu lakh apni chaal ko zalim badal ke chal
hai shama sar ke bal jo mohabbat mein garm ho
parwana apne dil se ye kahta hai jal ke chal
bulbul ke hosh nikhat-e-gul ki tarah uDa
gulshan mein mere sath zara itr mal ke chal
gar qasd su-e-dil hai tera ai nigah-e-yar
do-chaar tir paik se aage ajal ke chal
jo imtihan-e-taba kare apna ai 'zafar'
to kah do us ko taur pe tu is ghazal ke chal
(1286) Peoples Rate This