Hijr Ke Hath Se Ab KHak PaDe Jine Mein
hijr ke hath se ab KHak paDe jine mein
dard ek aur uTha aah naya sine mein
KHun-e-dil pine se jo kuchh hai halawat hum ko
ye maza aur kisi ko nahin mai pine mein
dil ko kis shakl se apne na musaffa rakkhun
jalwagar yar ki surat hai is aaine mein
ashk o laKHt-e-jigar aankhon mein nahin hain mere
hain bhare lal o guhar ishq ke ganjine mein
shakl-e-aina 'zafar' se to na rakh dil mein KHayal
kuchh maza bhi hai bhala jaan meri lene mein
(812) Peoples Rate This