Hawa Mein Phirte Ho Kya Hirs Aur Hawa Ke Liye
hawa mein phirte ho kya hirs aur hawa ke liye
ghurur chhoD do ai ghafilo KHuda ke liye
gira diya hai hamein kis ne chah-e-ulfat mein
hum aap Dube kisi apne aashna ke liye
jahan mein chahiye aiwan o qasr shahon ko
ye ek gumbad-e-gardun hai bas gada ke liye
wo aaina hai ki jis ko hai hajat-e-simab
ek iztirab hai kafi dil-e-safa ke liye
tapish se dil ka ho kya jaane sine mein kya haal
jo tere tir ka rauzan na ho hawa ke liye
tabib-e-ishq ki dukkan mein DhunDte phirte
ye dardmand-e-mohabbat teri dawa ke liye
jo hath aae 'zafar' KHak-pa-e-'faKHruddin'
to main rakhun use aankhon ke tutiya ke liye
(862) Peoples Rate This