Baat Karni Mujhe Mushkil Kabhi Aisi To Na Thi
baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisi ab hai teri mahfil kabhi aisi to na thi
le gaya chhin ke kaun aaj tera sabr o qarar
be-qarari tujhe ai dil kabhi aisi to na thi
us ki aankhon ne KHuda jaane kiya kya jadu
ki tabiat meri mail kabhi aisi to na thi
aks-e-ruKHsar ne kis ke hai tujhe chamkaya
tab tujh mein mah-e-kaamil kabhi aisi to na thi
ab ki jo rah-e-mohabbat mein uThai taklif
saKHt hoti hamein manzil kabhi aisi to na thi
pa-e-kuban koi zindan mein naya hai majnun
aati aawaz-e-salasil kabhi aisi to na thi
nigah-e-yar ko ab kyun hai taghaful ai dil
wo tere haal se ghafil kabhi aisi to na thi
chashm-e-qatil meri dushman thi hamesha lekin
jaisi ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi
kya sabab tu jo bigaDta hai 'zafar' se har bar
KHu teri hur-shamail kabhi aisi to na thi
(1360) Peoples Rate This