Nawed-e-safar
main bhi kuchh KHwab sar-e-shahr-e-tamnna le kar
sar mein irfan-e-gham-e-zat ka sauda le kar
dil mein arman nahin aag ka dariya le kar
aankh mein hasrat-e-didar-e-tamasha le kar
bas yunhi uTh ke chala aaya tha be-raKHt-e-safar
gulab-jismon ke sang sanson ka sochta tha
ghazal aankhon mein ghar banane ki aarzu thi
kisi ki zulfon mein sar chhupana bhi chahta tha
dil-o-nazar mein tamam manzar hare-bhare the
sada-e-dil par rawan-dawan sa chala to tha main
magar wo manzar ki jin manazir mein dikh raha tha naya sawera
wo sare manzar har ek hasrat dhuan dhuan si kahin pe gham hai
magar main ab bhi dabi dabi si sada-e-dil hi to sun raha hun
zamana lekin usi tarah se rawan-dawan hai
udas-o-bad-dil na tha na hun main
yahin se mujh ko nae safar ki nawed bhi hai
(849) Peoples Rate This