KHabar Shaki Hai
KHabar shaki hai tum mujh ko
faqat qissa samajh kar hi nazar-andaz karte ho
kabhi socha hai tum ne ye ki
ek chhoTe se qisse ne
KHabar banne ke pahle kya jatan jhele sitam kaTe
kisi be-nam kuche se nikal kar samne aaya
sisakte unghte logon ko chaunkaya
bahut kuchh aur bhi karta hua qissa KHabar ka rup leta hai
magar tum to faqat qissa samajh kar chhoD dete ho
sabab us ka ye hai shayad
yahan hai maut bhi mamul mein shamil
kunware be-zaban jismon pe hamle roz hote hain
Dakaiti qatl ighwa luT aur aatish-zani
bahut kuchh hota hi rahta hai
naya jaise kahin kuchh bhi nahin
lekin kabhi tum par
aur un par bhi ki jin par sab guzarta hai
sabhi kuchh KHas tab hoga
kabhi tum par bhi kuchh guzre
KHabar shaki hai tum mujh ko
faqat qissa samajh kar chhoD dete ho
(985) Peoples Rate This