Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9e5efa4f48a5bc13983c59bbd22c6ee6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Charaghon Mein Andhera Hai Andhere Mein Ujale Hain - Badr Wasti Poetry In English - Darsaal

Charaghon Mein Andhera Hai Andhere Mein Ujale Hain

charaghon mein andhera hai andhere mein ujale hain

hamare shahr mein kali hawa ne par nikale hain

hamein shab kaTne ka fan wirasat mein mila hum ne

kabhi patthar pakae hain kabhi sapne ubaale hain

dilon mein KHauf hai us ka nazar hai us ki rahmat par

gunahgaron mein shamil hain magar allah wale hain

laDe the sath mil kar hum charaghon ke liye lekin

hamare ghar andhere hain tumhaare ghar ujale hain

tumhaari yaad se achchha nahin hota koi aalam

mayassar jin ko ho jae baDi taqdir wale hain

mohabbat aaKHiri hal hai hamare sab masail ka

magar hum ne to nafrat ke sanpole dil mein pale hain

bhaDakti aag to do chaar din mein bujh gai thi 'badr'

abhi tak shahr ke manzar na jaane kyun dhuanle hain

(1777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Charaghon Mein Andhera Hai Andhere Mein Ujale Hain In English By Famous Poet Badr Wasti. Charaghon Mein Andhera Hai Andhere Mein Ujale Hain is written by Badr Wasti. Read famous Poem Charaghon Mein Andhera Hai Andhere Mein Ujale Hain for youth and Student by Badr Wasti. Free Download Charaghon Mein Andhera Hai Andhere Mein Ujale Hain in PDF.