Tab
pahle hum jate the jab sasural mein
bolta tha har koi sur-tal mein
de nahin sakte ise lafzon ka rup
garm-joshi thi jo istiqbaal mein
sas ka chehra chamak uThta tha yun
chand jaise jhil ke patal mein
pyar mein Dubi sasur ki guftugu
kitni shirini thi in aqwal mein
khilkhila uThti thin sari saliyan
phurtiyan aati thin un ki chaal mein
baiThne pate na the aur dafatan
saj ke aa jati thi chae thaal mein
ahd-e-mazi ka wo bab-e-tabnak
bhul hum sakte hain kaise haal mein
ab
ab kabhi jate hain jab sasural mein
aur wo bhi ek bar ek sal mein
garm-joshi sirf dikhlati hai ab
sard-mehri hum ko istiqbaal mein
sas pa kar mere aane ki KHabar
sar chhupa kar so gai hai shaal mein
aur sasur lagta hai yun baiTha hua
sher jaise aadmi ki khaal mein
saliyan karke salam-e-sarsari
mast ho jati hain apne haal mein
chae ka to zikr hi mat kijiye
ab to bas kala hai sab kuchh dal mein
waqt hum par ye bhi aana tha 'munir'
phans gae hain ab to ek janjal mein
(845) Peoples Rate This