Qadmon Se Itna Dur Kinara Kabhi Na Tha
qadmon se itna dur kinara kabhi na tha
na-qabil-e-ubur ye dariya kabhi na tha
tum sa hasin in aankhon ne dekha kabhi na tha
lekin ye sach nahin koi tum sa kabhi na tha
hai zikr-e-yar kyun shab-e-zindan se dur dur
ai ham-nashin ye tarz ghazal ka kabhi na tha
kamre mein dil ke us ke alawa koi nahin
hairan hun ki aisa andhera kabhi na tha
kis ne bisat-e-bahs ke mohre badal diye
tanha to tha wo pahle bhi gunga kabhi na tha
imroz-e-intizar ka farda to kal bhi hai
andoh-e-imshabi ka sawera kabhi na tha
har zehn mein hamesha sulagta hai ye sawal
aaKHir hua wo kyun jise hona kabhi na tha
diwana tha bhaTak gaya gum ho gaya hai qais
KHali magar kajawa-e-laila kabhi na tha
kal bhi isi dayar mein tha raushni ka qaht
aisa magar charagh ka dhanda kabhi na tha
pighli kuchh aur barf to ek aur shahr-e-KHwab
yun bah gaya nasheb mein goya kabhi na tha
barsa hai kis babul pe abr-e-bahaar-KHez
itna hara to zaKHm-e-tamanna kabhi na tha
us ne bhi iltifat se dekha tha kab 'KHalish'
main ne bhi us ke bare mein socha kabhi na tha
(943) Peoples Rate This