Nishan-e-zaKHm Pe Nishtar-zani Jo Hone Lagi
nishan-e-zaKHm pe nishtar-zani jo hone lagi
lahu mein zulmat-e-shab ungliyan bhigone lagi
hua wo jashn ki neze buland hone lage
niyam tegh ki KHanjar ke sath sone lagi
jahan mein dauD ke pahuncha tha wo ghaneri chhanw
zara si der mein zar-o-qatar rone lagi
nadi Dubau na thi Dubna paDa lekin
kinare pahuncha to sharmindagi Dubone lagi
sab apni pyas bujhane mein mahw the hama-tan
hua ye phir ki hawa shoala-KHez hone lagi
baDhae hath madad ko daraaz daston ne
to apna bojh wo chyunTi ki tarah Dhone lagi
kuchh aur surKH-ru ho kar uThe wo maqtal se
ghaTa bhi uTThi to daman ke dagh dhone lagi
wo pir-zan jise kanTe nikalne the 'KHalish'
wo sahira ki tarah suiyan chubhone lagi
(842) Peoples Rate This