Gum Hue Jate Hain DhaDkan Ke Nishan Ham-nafaso
gum hue jate hain dhaDkan ke nishan ham-nafaso
hai dar-e-dil pe koi sang-e-giran ham-nafaso
risne lagti hain jab aankhon se tezabi yaaden
baat karte hue jalti hai zaban ham-nafaso
dil se lab tak koi kohram sa sannaTa hai
KHud-kalami mujhe le aai kahan ham-nafaso
ek subuk mauj hai ek lauh-e-daraKHshan pe rawan
hai tamashai yahan sara jahan ham-nafaso
kitne masruf hain masrur nahin phir bhi ye log
hai ye kya silsila-e-kar-e-ziyan ham-nafaso
sham tamhid-e-ghazal raat hai takmil-e-ghazal
din nikalte hi nikal jati hai jaan ham-nafaso
rashk-e-mahshar koi qamat to nigahon mein jache
dil mein baqi hai abhi tab-o-tawan ham-nafaso
zinda ho rasm-e-junun kis ki nawa-rezi se
ab raha kaun yahan shoala-ba-jaan ham-nafaso
aaj ki sham ghazal kyun na 'KHalish' se hi sunen
DhunD kar lae koi hai wo kahan ham-nafaso
(698) Peoples Rate This