Damak UThi Hai Faza Mahtab-e-KHwab Ke Sath
damak uThi hai faza mahtab-e-KHwab ke sath
dhaDak raha hai ye dil kis rabab-e-KHwab ke sath
haTe ghubar jo lau se to meri jot jage
jalun main phir se nai aab-o-tab-e-KHwab ke sath
hai sau adaon se uryan fareb-e-rang-e-ana
barahna hoti hai lekin hijab-e-KHwab ke sath
to kyun saza mein ho tanha gunahgar koi
yahan to jite hain sab irtikab-e-KHwab ke sath
sharar-e-sang se sanglaKH ho gae talwe
hua na kuchh dil-e-KHana-KHarab-e-KHwab ke sath
sulae rakkha hamein bhi fareb-e-manzil ne
chale the hum bhi kisi ham-rakab-e-KHwab ke sath
suragh milta nahin pyas ke safinon ka
bhanwar bhi hote hain shayad sarab-e-KHwab ke sath
haqiqaton ki chaTanon pe chal gaya jadu
lo wo bhi chalne lagin ab sahab-e-KHwab ke sath
ajab nahin wahi manzar nazara ban jae
Dara raha hai ye Dar iztirab-e-KHwab ke sath
daraDen rah gain bedariyon ke naqshe par
na hum rahe na wo tum inqalab-e-KHwab ke sath
nigah-e-dida-e-tabir ke hawale 'KHalish'
hai ye bayaz alag intiKHab-e-KHwab ke sath
(821) Peoples Rate This